Sunday 23 October 2016

#Writetime poems : 1


Aaj khud se yun mulakat hui...

Dil ke dariya me chhipi wo baat hui,
Muskurahat kyun gum ho gayi hai,
Aankhen kyun itni nam ho gai hai,
Haalat ki saazish me, sazaa hume sare-e-aam hui,
Aaj khud se yun mulakat hui...

Anjaano ke sheher me apne dhundta hun,
Apne na sahi, kuch matlabi sapne dhundta hun,
Sapne khote rahe, apne paraye hote rahe,
Ye bezubaan aakhir unhe kahe bhi toh kya kahe,
Is matlab ki duniya se kuch bematlab si baat hui,
Aaj khud se yun mulakat hui...

Hawa ke jhoke zindagi ke panne palat te rahe,
Kahani humari thi phir bhi ruki hui,
Phir shuruaat ke maayne na dikhai de kabhi,
Us shuruaat ki wajah, kya pata kaha h chupi hui,
Aagaz ke intezaar me, anjaam se haar hui,
Aaj khud se yun mulakat hui...

No comments:

Post a Comment